YAAD
Phir se sama ne hawa ka aanchal lapeta
Phir se humne khyalon mein kisi ko baahon mein sameta,
Phir se dil ke darwaaze pe di kisi ne dastak,
Phir mere dil ke andar se ek aawaz aayi…..
Phir mere dil mein shayad deedar ki hasrat machal uthi,
Chalta hua yeh pal ruk gaya, rukti si dhadkan chal padi,
Phir se hui dil ko kisi se door hone ki chubhan,
Phir se mere dil mein kisi ki khairiyat ki fariyaad aayi….
Phir meri aankhon ne uski ek jhalak ka intezaar kiya,
Aur mere saaye ne bhi mujhe pehchanne se inkar kiya,
Phir usi imaarat ka khandhar aaya nazron mein meri,
Aur phir se zehen mein ek rishtey ki buniyaad aayi….
Phir baatein kayi man mein aayi, yaadon ne banai tasweerein,
Phir lafz zubaan pe atak gaye, nikle aansoo dheere-dheere,
Ghaavo ki mujhe aadat si thi, ghaavo se koi shikwa bhina tha,
Lekin ghaavo mein yeh tadap uske jaane ke baadaayi…..
Phir raat ho uthi satrangi, phir chamak uthe laakhon taare,
Phir armaano ne li karvat, phir jag uthe sapne saare,
Phir se yeh hosh hue gaayab, phir shayad aaj main bahak gaya,
Shayad phir khud ko bhool gaya, shayad phir uski yaad aayi…..
Shayad phir uski yaad aayi……..
Monday, September 25, 2006
Subscribe to:
Posts (Atom)